Saturday, October 09, 2010

Imam Mahdi a.s Quran o Hadis ki Roshni mai Part1

Hazrat Imam Mahdi a.s  quran o hadis ki roshni mai (Part1)
Bismillah hi rahmannir raheem
Allah ke naam se shuru karta hoon aur usse madad mangte hue kuch shane-e-Imam Mahdi a.s par likh raha hoon ummeed hai naujawan momin aur mominaat isse faiz hasil karegen .Is article ko likhne ka maqsad sirf Imam Mahdi a.s ke halat ke bare mai janna hai .

Yahan mai ek hadis-e-Rasool s.a.w.w jo ki sunni aur shia kutub mai hai yaani shia aur sunni dono ki motabar (authentic )kitabo mai maujood hai pesh karna ka sharf haasil karraha hoon.

Hazrat Mohammad Mustafa s.a.w.w ne farmaya :Mai tumhare darmiyaan do geraqadr (qadr wali)chize chhode  jarr aha hoon :Ek kitab-e-Khuda(Quran)aur doosri meri itrat ahl-e-Bait a.s agar tum unhe ikhtiyaar kiye raho to kabhi gumrah na hongen ,ye dono kabhi juda na hongen yahan takke Hauz-e-kawsar par mere paas pahuche.(Sahih Muslim-7/122,Sunan Darmi -2/432,Masnad Ahmad bin hambal-3/13,Mustadrak Hakim-3/109)

Is hadis se Rasool s.a.w.w par gaur kijiye Allah ka akhiri Rasool ummat-e-muslima ko ye batana chahta hai ke dekho ho sakta hai mere zahiri parda farmajane ke baad tum gumrah ho jao ,Isliye maine tumhare liye hidayat o nijaat ka samaan karke jaraha hoon agar use manogen to hargiz gumrah na hongen ,Ek kitab-e-Khuda yani Quran doosre mere Ahlebait a.s aur yahan tak ke ye dono khud ek doosre se juda na hongen aur mujh tak hauz-e-kawsar par milegen ,Rasool apni foran wafat ke baad se lekar aur hauz-e-kausar tak pahuchne ke waqt tak ummat ki hidayat ka samaan karke gaye hai…ye kehna ke Quran aur Ahlebayt a.s ek doosre se hargiz juda na hongen ye is baat ki daleel hai ke dono maujood hone chahiye ..aur ye baat puri ummat-e-muslima janti hai ke Quran maujood tha,maujood hai ,maujood rahega qayamat tak ab agar Quran maujood hai to ye baat bhi tasleem karni padegi ki Ahlebayt a.s bhi maujood hongen ya unmai se koi aisa fard jo ho who bhi maujood ho accha doosri baat ke Quran hidayat ke liye hai aur hadis bhi batarahi hai ke Ahlebayt bhi hidayat ke liye hai to Ahlebayt ki aisi azeem shaksyat aaj ke daur mai hai ya nahi ispar aage pesh karoonga magar ye baat hadis ki roshni mai tasleem karni padegi ki jis tarah Quran maujood tha,maujood hai,maujood rahega usi tarah Ahlebayt a.s maujood the ,maujood hai ,maujood rahegen is liye ke rasool s.a.w.w ka kalam hai  ….ab hame chahiye ke ham Quran ,Hadis aur tarikh ki madad se jane ke kia aisi koi shaksiyat maujood hai jo hamari hidayat ka samaan kare koi ye kehne lage ke Quran kaafi hai hidayat ke liye to aisa mumkin nahi who isliye ke Rasool s.a.w.w ki hadis bata rahi hai ke gumrahi se bachne ke liye aur hidayat hasil karne ke liye Quran o Ahlebayt a.s zaroori hai .
Quran mai Allah ka irshad hai :
Us din ko yaad karo jab ham logon ko unke Imam ke saath bulaygen to jiska nama-e-amaal unke daahine haath mai diaya jayega to woh log khush khush nama-e-amaal parhne lagegen aur unpar resha barabar zulm na kiya jayega.(Surah Bani-Israel ayat:71)


Hadis o quran ki roshni mai pata chala k eke ahlebayt ki aur kisi aise Imam ki maujoodgi zaroori hai jo ke hidayat ke liye ho ,,,aur ye bhi baat hai ke kyuke quran ke baad ahlebayt a.s hi hidyaat ka saman hai to Imam aisa ho johidayat ka samaan karegen who yaqeenan ahlebayt .as se hona chahiye ….
Mai kuch hadis jo ke Ahle-sunnat ki kitaab hai usse pesh karraha hoon

Hazrat Jabir bin samrah r.a se riwayat hai unhone ne farmaya maine Rasool s.a.w.w ko irshad farmate hue suna :Ye deen qaim rahega yahan takke tum par barah (12)khalifa hongen –un tamam par ummat mujtama hogi phir miane Rasool s.a.w.w se guftugu suni jise mai samajh na saka –to miane apne baap se arz kiya –aap s.a.w.w kiya farma rahe hai mere baap ne bataya ke aapne irshad farmaya hai “Woh tamam 12 khalifa khandan-e-quresh se hongen(Abu Dawood sunan 4/106-no.9824,Al-qaulul motabar fi imamil muntazar –p-64)


Hazrat umme salma r.a farmati hai ke Rasool s.a.ww. ne farmaya ke Imam Mahdi a.s meri itrat aur aulad-e-Fatima a.s se hongen aur qayamat ko ek din hi kyu na bacha ho Allah (swt)mere Ahlebayt a.s mai se ek shaks ko bhejega jo zameen ko adl se bhardega jis tarah who zulm se bhari hogi (Abu Dawood sunan 4/106-no.4828,Al-qaulul motabar fi imamil muntazar –p-64)

In dono hadiso ko gaur se parhne se pata chalta hai ke pehle to ummat par barah khalifa hongen aur khalifa ki liye kia gumrahi ke liye ya hidayat ke liye zahir si baat hai Rasool s.a.w.w ka kehna ke poori ummat mujtama hogi 12 ke 12 khalifao par yaani unko tasleem karegi doosre hidayat ke liye hi to ummat tasleem karegi gumrah hone ke liye nahi aur ye bhi baat saabit hogayi ke sab ke sab khalifa Quresh se hongen kisi aur khandan se nahi aur Ahlebayt a.s bhi khandan-e-quresh se hai aur sabse pehli hadis se sabit hai ke hidyat sirf Quran o ahlbayt a.s se hai poora ka poora khandane-e-quresh hidayat ke liye nahi hai …to baat ko thoda sameta jaye to sabit hota hai ke Quran o Ahlebayt a.s haadi hai ummat ke liye aur har daur ki ummat ke liye Imam ko janna bhi zaroori hai aur kyu ke kal who qayamat ke din apne waqt ke imam ke saath bulaya jayega teesre Imam ya Khalifa 12 hongen aur unmai barwa Fatima a.s ki aulaad se hoga aur uska naam Mahdi a.s ko hoga yaani Imam Mahdi ahlebayt a.s se hongen …Imam Mahdi jab ahlebayt se hongen ya baat sabit hui to unki maujoodgi aaj ke daur mai hai isliye bhi shamil hogi ke ahlbayt a.s ke 11 imam guzarchuke aur ahlebayt quran ki tarah hamesha maujood rahegen to ab ek aisi shaksiyat aaj ke daur mai zaroori hai jo ke haadi bhi ho aur ahlebayt a.s se bhi ho aur  aaj ki ummat ke Imam bhi ho kyu ke aaj ki ummat kiske saath qayamat mai jayegi koi na to koi hona zaroori hai …to parwardigaar ne apni is akhiri hujjat ko parda-e-gaib mai rakkha hai taaki woh Ahlebayt a.s ke 11 Imam jinki taarif aur maujoodgi ahlesuunat ki kutub mai bhi milti hai guzarchuki aur qayamat se pehle Imam Mahdi a.s tashreef layegen  ab baat ye aati hai ke 11 khalifa jo ke kahandane quresh mai ahlebait a.s se hai who is dunya se taqreeban 1100 saal pehla guzar gaye aur qayamat abhi nahi aayi hai ana baaki hai agar ham ye kahe ke Imam Mahdi a.s paida hogen to phir is waqt aisi ahlebayt a.s ki kaunsi shaksiyat hai jisko ham apna haadi mane aur khalifa mane aur imam mane …..to hame tasleem karna padega ke Imam Mahdi a.s maujood hai aur parda-e-gaib mai hai aur qayamat se pehle aap zahir hongen aur aap Fatima a.s ki aulad hai …….
InshaAllah Allah ne taufeeq di aur uski hujjat yani Imam-e-zamana a.s ne inayat farmayi to aage ki guftugu aur apke a.s ke halaat pesh karoonga..
Wassalam
Talib-e-Shifaat-e-Imam-e-Zamana a.s

Askari Hasan Zaidi      (Aligarh)
Email: askarihaadi@gmail.com