Sunday, September 05, 2010

Fazail-e-AmirulMomineen Ali a.s

Hazrat Ali a.s Ki wiladat aur tarikh.




  1. Hazrat AbuHamza Farmate hai ke maine Imam ZainulAbedeen a.s se suna hai unhone farmaya Hazrat Fatima binte Asad r.a dauran-e-tawaaf bachche ke paida hone ke asaar namudaar hue woh Kaaba mai daakhil hui aur wahan Ali a.s ki wiladat hui.(Rozul waizeen 1-76)
  2. ShahenSha-e-wilayat Hazrat Amirulmomeen Ali a.s ki wiladat 13 Rajab juma ke roz paighambar-e-Khuda s.a.w.w ke 12 saal mab-oos hone se pehle khan-e-kaaba mecca mai hui us waqt Hazrat Mohammad Musatafa s.a.w.w 28 saal ke the.(Bihar-ul-anwar 7/35) 

Hazrat Ali a.s ka nasb


  1. Hazrat Ali a.s Abutalib ke bete ,Abutalib Abdul muttalib ke bete  ,Abdul Muttalib Hashim ke bete,Hashim Abde manaf ke bete Qusse ke bete ,Qussi Kilab ke bete,Kilab Murrah ke bete,Murrah ka'ab ke bete,Ka'ab Loway ke bete,Loway ,Loway Galib ke bete,Galib Fehar ke bete,Fehar Malik ke bete ,Malik Nazr ke bete,Nazr Kunana ke bete ,Kunana Khazima ke bete,Khazima Madr ke bete,Madr Mozar ke bete,Mozar Nazaar ke bete,Nazaar Ma'ad ke bete,Ma'ad Janab Adnaan ke bete

  2. Ali a.s mere bhai hai
Hazrat Salman Farsi r.a farmate hai :Maine Hazrat Mohammad Mustafa s.a.w.w se suna hai Aap s.a.w.w ne farmaya :Mere bhai aur wazeer jo ek bahtareen fard (Shaks)hai jis ko mai apne baad apna jaa nasheen banaoonga woh Ali ibne Abu-talib a.s hai .(कश्फुल 
.गुम्मा १/153)





Iltemas-e-dua
Askari Hasan Zaidi Sirsiwi