Wednesday, December 08, 2010

Fazail-e-Sayyadush Shohada Imam Husain a.s Fi Ahadees

Sayyadush Shohada ke fazail yun to na mumkin hain ke koi bashar likh sake ,Imam Husain a.s ke fazail likhna goya aftab ko chiraag dikhana hai .Magar kyun ke is azeem hasti ke zikr hona zaroori hai aur lazmi hai is liye kuch ahaadees se istefada karna zaroori hai taaki ummat-e-muslimah is azeem hasti ke baare mai jaan sake......

Quran : Tumhare paas ilm o wahi(Hazrat Isa a.s ke insaan hone k baare mai) ajane ke baad jo tum se jhagda kare us se kehdo,Aao ham apne farzando ko laye tum apne farzando ko ,Aurton ko laye tum apni aurto ko lao aur ham apne nafso ko laate hai tum apne nafso ko lao-phir ham log Allah se dua kare aur jhooton par Allah ki lanat kare(ke jo Isa a.s ke baare mai jhoota dawa karta hai uspar Allah ki lanat)(Quran :Sura Aal-e-Imraan :Ayat 61)

Ye ayat ayat-e-mubahila ke naam se aalam-e-islam mai mashhoor hai...is ayat mai Farzando ke maqaam par Hazrat Mohammad Mustafa s.a.w.w Imam Hasan aur Hasan a.s ko lekar Mubahila ke liye tashreef le gaye the ..ab mai is par kuch ahl-e-sunnat ki kitabo ka hawala pesh karna pasand karoonga taaki sunni muslims bhi jaan sake .

Hadees:Imam Muslim ne basanad aamir bii abi waqas an abih hadees naql ki hai ke jab ye ayat naazil hui jo ke uppar likhi hui hai to Rasool s.a.w.w ne Nafs ki jagah Hazrat Ali a.s ko ,Aurton ko ki jagah Hazrat Fatima a.s ko ,Aur farzando ki jagah Hasan o Husain a.s ko bulaya aur farmaya :Ae Allah ye hain mere Ahlebait a.s (Sahih Muslim ,Jild 7,safa 120)

ab is ayat aur hadees k zail mai Imam Hasan aur Imam Husain a.s ka maqaam nawaso jaisa nahi balki beto jaisa maqam zahir ho raha hain.

Hazrat Umar farmate hain :Maine Rasool s.a..w.w ko farmate suna hai ki har aurat ke baiton ki nisbat unke baap ki taraf hoti hai ,siwaye Fatima a.s ki aulaad ke ,ki mai hi unka nasab hoon aur mai hi unka baap hoon.(Tabrani maujobal kabir 44:3 Number 2631)