Tuesday, July 14, 2015

shia

SIFAT USH SHIA ::; KIA SHIA HONE KE LIYE DAWA KAAFI HAI ?
Imam Muhammad Baqar a.s ne farmya kia kisi ke liye ye kaafi hai ki woh ape ko shiat ki taraf nisbat de ki mai ahlulbayt ka shia(dost) hoon ?Allah ki kasam hamara shia us shaks ke siwa koi nahi jo Allah se darta hai aur uske ahkaam ki ita'at karta hai .AL KAFI (GUNAH E KABIRA PAGE 74)

shirk e asgar

SHIRK E ASGAR::: Riyakaari (dikhawa karna) shirke asgar(chota) hai .
Hazrat Rasool saww ne irshad farmaya:Beshak tumhare BAARE mai jis chiz se mujhe zyada tar khauf hai woh sirk e asgar hai kisi ne arz kiya Ae paighambar saww chote shirk se kia muraad hai ? farmaya woh riya hai ,Qayamat ke din Allah ta'ala apne bandon k amaal ki jaza dene lagega to riyakaron se farmayega tum un logon ki taraf ruju karo jin ki khusnudi hasil karne ke liye nek aamal anjaam diye the.unhi logon se apne amaal ka sila yani badla lo kia unse silah milna mumkin hai ?hargiz nahi.(KITAB GUNAH-E-KABIRA PAGE NUMBER 167 AYATULLAH DASTEGAIB SHIRAZI R.A)
Note:::yaani muslim ya momin ko nek kaam Allah ke liye khalis karna chahiye dikhawe k liye nahi ...ya aise dikhe ki doosre bhi us nek amal ke liye attract ho .


Sunday, July 12, 2015

sifat e shia 1



Sheikh Sadooq r.a ki kitab Shia-e-ane ahlulbayt a.s :::
Sifat ush shia 
Imam Jafar Sadiq a.s ka farman hai Allah ki kasam Ali a.s ka shia woh hoga jo apne shikam(stomach)ko haram se bachaye,paak daman(zinakari se mahfooz) ho,Allah ki khushnudi (raza) ke liye amal karta ho usse sawab ki ummeed rakhe aur usse (Allah) se darta rahe.

AMAL-E-SHABE EID UL FITR