Monday, May 13, 2013

Imam Mahdi a.s


Imam Mahdi a.s us azeemushshan hasti ka naam hai jiska zikr pichle ambiyan aur ayyemmah a.s ne apni zindagiyo mai kiya hai.Imam Mahdi ka wajood Quran o Hadees se saabit hai ,ahadees ki kitabe bhari padhi hai chahe woh qutub ahlesunnat(sunni) se ho ya phir ahle -tashi(Shia).aap Allah ke akhiri Khalifa Allah ki taraf se hain jo is dunya ko adl o insaaf se aise bhardengen jaise zulm se bhari hongi ,aapka hasb o nasb qainaat ke sabse paak hasb o nasb se hai ,Aapke andar khoone Hazrat Fatima Zahra a.s maojood hai aur aap Amirulmomineen Ali ibne abutalib a.s ke farzand-e-arjumand hai .aap Rasool-e-Khuda s.a.w.w ke bete hai .aapki zaat par kuch likhna goya suraj(aftaab) ko chiraag dikhane jaisa hai.Bataur-e-tabarruk aur husoole raza e imam a.s ke khatir mujh jaisa jaahil insaan likhne ja raha hai jiske zariye mere qaum k bhai aap yaani Imam-e-zamana a.s k baare mai kuch jaan sake .Mai Allah se aur apne imam se maafi ka talabgaar hoon agar likhne mai kisi tarah ki kotaahi ya galti sarzad hojaye .Khuda meri koshish ko qubool kare aur mujhe Imam Mahdi a.s k gulaamon mai mahshoor kare .
Taalib-e-shifaat-e-imam Mahdi a..s
Askari Hasan Zaidi

yahan par mai pehle kuch aise aqwaal jo ki buzurg aalime deen marhoom Ayatullah Bahjat a.r se mansoob hai unko naql karraha hoon jo aapne imam-e-zamana a.s ke baare mai farmaya hai:

1)Imam-e-Zamana (Mahdi)a.s Allah ki dekhne waali aankh,uska sunne wala kaan ,uski bolne waali zabaan aur uska khula hua haath hai .




HADIS-E-RASOOL 
IMAM AUR KHALIFA 12 HAIN:
1)Sahih Bukhari vol 2 page 175 edition egypt 1355 hijri: Mujh se mohammad bin mosanna ne bayan kiya ,ham se gandar ne bayan kiya ,ham se sheba ne bayan kiya aur unse abdul malak ne bayan kiya ki maine Jabir bin samrah se suna ki unhone ne kahan ki maine Rasool Allah s.a.w.w se suna ki aapne farmate hai ,ameer 12 hongen uske baad ek jumla aur kahan jisko mai nahi sun saka mere waalid farmate hai ki woh sab Quraish se hongen.

isi hadis ko Sahih tirmizi ne ,Sahih Muslim ne Sahih abu dawood ne naql kiya hai .